ḳhāmosh is tarah se na jal kar dhuāñ uThā
ai sham.a kuchh to bol kabhī to zabāñ uThā
but ban ke chupke fitne na yuuñ merī jaañ uThā
muñh meñ agar zabāñ hai to lutf-e-zabāñ uThā
hai kosoñ duur manzil-e-anjām-e-guftugū
tezī ke saath apne qadam ai zabāñ uThā
Dar hai yahī ki kashtī-e-mazmūñ na Duub jaa.e
rah rah ke itnī maujeñ na bahr-e-zabāñ uThā
ab daur meñ hai rindoñ ke paimāna-e-kalām
phir aa ga.ī bahār phir abr-e-zabāñ uThā
kar is qadar na zauq-e-takallum ko sharmsār
apnā sar-e-niyāz kabhī to zabāñ uThā
kahtā hai 'qadr' dekh ke tere sukūt ko
kuchh fā.eda kalām se bhī ai zabāñ uThā