ye saarī dhuul mirī hai ye sab ġhubār mirā
guzar hai tere ḳharābe se baar baar mirā
ḳhizāñ to kyā nahīñ jis kī bahār ko bhī ḳhabar
ik aise baaġh ke andar hai barg-o-bār mirā
hai dil ke naġhma o naala se ab gurez mujhe
milā huā hai kisī aur lai se taar mirā
maiñ ḳhush huuñ nān-o-namak par to is kī daad na de
ki bhiik māñgtā phirtā hai shahryār mirā
tire ġhurūr kī ismat-darī pe nādim huuñ
tire lahū se bhī dāman hai dāġhdār mirā