maiñ ne kahā thā aaj na jaa.eñ ghoḌe behad thake hue haiñ
us ne kahā thā jaanā tai hai dushman pīchhe lage hue haiñ
maiñ ne kahā thā daa.eñ taraf kī ghāTī meñ ham chhup jaate haiñ
us ne kahā thā nā-mumkin hai tīroñ meñ ham ghire hue haiñ
maiñ ne kahā thā ġhaar meñ kāTeñ hijrat-rut kī pahlī rāteñ
us ne kahā thā us ke biloñ meñ saañp aur bichchhū chhupe hue haiñ
maiñ ne kahā thā pyaas ke maare kaalī ret pe mar jā.eñge
us ne kahā thā Thiik hai lekin do mashkīze bhare hue haiñ
maiñ ne kahā thā us se aage chhupne kī kyā sūrat hogī
us ne kahā thā Darte kyuuñ ho aage qil.e bane hue haiñ
maiñ ne kahā thā do hī haiñ ham shahr-e-sitam se jaane vaale
us ne kahā thā bastī meñ kuchh aur bhī sāthī ruke hue haiñ
maiñ ne kahā thā sunte ho tum pīchhe pīchhe aatī Tāpeñ
us ne kahā thā ham bhī ajab haiñ do raahe par ruke hue haiñ
maiñ ne kahā thā ab kyā hogā dushman sar par aa pahuñchā hai
us ne kahā thā ġhaar ke muñh par lākhoñ jaale tane hue haiñ
maiñ ne kahā thā ye to batāo kis kī taraf mehmānī hogī
us ne kahā thā yasrib vaale ik duuje se baḌhe hue haiñ