Moin Nizaamii

hai tahayyur-zada is shahr mein KHamoshi bhi

Moin Nizaamii

hai tahayyur-zada is shahr meñ ḳhāmoshī bhī
ki sunā.ī nahīñ detī koī sargoshī bhī
dil giraftār-e-tazabzub hai kidhar ko jaa.e
ghar bhī yaad aatā hai aur dasht-e-farāmoshī bhī
ye haqīqat hai ki be-misl hai ḳhud us kī tarah
us ḳhush-andām kī ḳhush-bāshī-o-ḳhush-poshī bhī
ek dīvār se mil jaatā hai saaya bhī hameñ
aur chāheñ to kuchh ehsās-e-ham-āġhoshī bhī
maslahat hogī koī pesh-e-nazar dhyān rahe
itnī saada to nahīñ shaiḳh kī mad-hoshī bhī
Top Urdushayar.com