kamāl-e-husn kā jab bhī ḳhayāl aayā hai
misāl-e-sher tirā naam dil pe utrā hai
maiñ apne aap ko dekhūñ to kis tarah dekhūñ
ki mere gird mirī zaat hī kā parda hai
maiñ falsafī na payambar ki raah batlā.ūñ
har ek shaḳhs mujhī se savāl kartā hai
ye sach hai maiñ bhī taġhayyur kī zad se bach na sakā
savāl ye hai ki tū bhī to kitnā badlā hai
tire ḳhulūs kī chādar simaT ga.ī shāyad
mirā vajūd mujhe ajnabī sā lagtā hai
abhī to hālat-e-dil kā sudhār hai mushkil
abhī to terī judā.ī kā zaḳhm taaza hai
'azīz' apne tazādāt hī miTā Daalo
ye kaun pūchh rahā hai zamāna kaisā hai