Shabab Lalit

bartar samaj se koi fankar bhi nahin

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
bartar samāj se koī fankār bhī nahīñ
fankār kyā jo sāhab-e-kirdār bhī nahīñ
har chand jāñ-balab haiñ sitam se sharīf log
laḌne ko zulm se koī tayyār bhī nahīñ
nasl-e-javāñ savār hai ḳhvāboñ kī naav meñ
us par sitam ki haath meñ patvār bhī nahīñ
khoTā Takā huuñ phir bhī kabhī kaam ā.ūñgā
mujh ko na pheñk itnā maiñ be-kār bhī nahīñ
urdu zabān kī maiñ vo kohna kitāb huuñ
jis kā vatan meñ koī ḳharīdār bhī nahīñ
ham ai 'shabāb' aise muqaddar kā kyā kareñ
ḳhvābīda jo nahīñ hai to bedār bhī nahīñ
Top Urdushayar.com