Shabab Lalit

manga tha humne din wo siyah raat de gaya

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
māñgā thā ham ne din vo siyah raat de gayā
sūraj hameñ añdhere kī sauġhāt de gayā
sikke mire ḳhulūs ke lauTā diye mujhe
apnī samajh meñ vo mujhe ḳhairāt de gayā
us ko ye zo.am thā ki hai vo shaukat-e-chaman
jañgal kā ek phuul use maat de gayā
us kī hañsī meñ lai thī kis jal-tarañg kī
mere laboñ ko pyaar ke naġhmāt de gayā
mazmūn-e-ishq par use kāmil giraft thī
nazroñ se kaise kaise havālāt de gayā
chehre se le gayā mirī pahchān chhīn kar
nā-sāzgār vaqt vo sadmāt de gayā
sab par mirī nigāh-e-karam ek sī rahī
maiñ bāñjh dhartiyoñ ko bhī barsāt de gayā
insāf mujh ko de ki na de vo magar 'shabāb'
thoḌā sā vaqt bahr-e-mulāqāt de gayā
Top Urdushayar.com