Shabab Lalit

shab-e-visal thi raushan faza mein baiTha tha

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
shab-e-visāl thī raushan fazā meñ baiThā thā
maiñ tere sāya-e-lutf-o-atā meñ baiThā thā
tamām umr use DhūñDne meñ sarf huī
jo chhup ke mere badan kī guphā meñ baiThā thā
na.ī rutoñ kī havā le uḌī libās us kā
vo kal talak to harīm-e-hayā meñ baiThā thā
darūn-e-qāfila āsār the baġhāvat ke
ajab sā ḳhauf dil-e-rahnumā meñ baiThā thā
zarā sī baat ne auqāt khol dī us kī
vo kab se band hisār-e-anā meñ baiThā thā
nazar uThā ke tum ai kaash dekh hī lete
maiñ nazr-e-jāñ liye rāh-e-vafā meñ baiThā thā
lahū se us ke milī diin ko baqā-e-davām
vo qāfila jo kabhī karbalā meñ baiThā thā
usī ne luuTī thī ablā kī aabrū kal raat
savere ban ke jo mukhiyā sabhā meñ baiThā thā
bas ik shikast ne saare nashe utaar diye
vo tājdār alag sī havā meñ baiThā thā
chalā.īñ goliyāñ jis par munāfiqoñ ne 'shabāb'
saf-e-namāz meñ yād-e-ḳhudā meñ baiThā thā
Top Urdushayar.com