duur tak phailā huā paanī hī paanī har taraf
ab ke bādal ne bahut kī mehrbānī har taraf
hādse har moḌ par haiñ ghaat meñ kyā kījiye
kis qadar arzāñ hai marg-e-nā-gahānī har taraf
jā chhupe andhī guphā meñ jo qad-āvar log the
aur baunoñ kī huī hai hukmarānī har taraf
aag ke chappū havā ke bādbāñ miTTī kī naav
aur tā-hadd-e-nazar paanī hī paanī har taraf
bebasī par apnī ḳhud alfāz hairāñ haiñ 'shabāb'
isti.āroñ ne badal Daale ma.ānī har taraf