Shabab Lalit

hadd-e-sitam na kar ki zamana KHarab hai

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
hadd-e-sitam na kar ki zamāna ḳharāb hai
zālim ḳhudā se Dar ki zamāna ḳharāb hai
itnā na ban-sañvar ki zamāna ḳharāb hai
mailī nazar se Dar ki zamāna ḳharāb hai
bahnā paḌegā vaqt ke dhāre ke saath saath
ban us kā ham-safar ki zamāna ḳharāb hai
phislan qadam qadam pe hai bāzār-e-shauq meñ
chal dekh-bhāl kar ki zamāna ḳharāb hai
kuchh un pe ġhaur kar jo taqāze haiñ vaqt ke
un se nibāh kar ki zamāna ḳharāb hai
aa ġharq-e-jām kar deñ mile haiñ jo ranj-o-ġham
paimāna merā bhar ki zamāna ḳharāb hai
gar be-Thikāna haiñ to nahīñ sharmsār ham
ab kyā banā.eñ ghar ki zamāna ḳharāb hai
mehnat shu.ūr tajraba ta.alīm-o-tarbiyat
sab kuchh hai be-asar ki zamāna ḳharāb hai
do roTiyāñ nahīñ na sahī ek hī sahī
is par hī sabr kar ki zamāna ḳharāb hai
Top Urdushayar.com