Shabab Lalit

jadui mahaul mein har lene wali chhatriyan

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
jādūī māhaul meñ har lene vaalī chhatriyāñ
malgajī rut dūdhiyā hāthoñ meñ kaalī chhatriyāñ
ham ne jin qadroñ ko samjhā thā ḳhayālī chhatriyāñ
thiiñ vahīñ tūfān meñ kaam aane vaalī chhatriyāñ
ġham ke sahrā kī tapish ḳhud jhelnī hogī hameñ
bevafā ahbāb haiñ saa.e se ḳhālī chhatriyāñ
aaj ḳhud hī be-tahaffuz haiñ zamāne ke ḳhudā
vaqt vo hai ḳhud haiñ saa.e kī savālī chhatriyāñ
terī furqat kī tapish kuchh in se kam hotī nahīñ
jām-o-raqs-o-naġhma haiñ sab dekhī-bhālī chhatriyāñ
ye hasīñ chehre ye gore sānvī chikne badan
ye ġhamoñ kī dhuup meñ kaam aane vaalī chhatriyāñ
kaaT hī legā bashar dukh kī bharī barsāt ko
taan kar jhūTī umīdoñ kī ḳhayālī chhatriyāñ
dhuup ke maare huo kohsār ke dāman meñ aao
patta patta sā.ebāñ haiñ Daalī Daalī chhatriyāñ
Top Urdushayar.com