Shabab Lalit

le ke be-shak hath mein KHanjar chalo

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
le ke be-shak haath meñ ḳhanjar chalo
oḌh kar iḳhlās kī chādar chalo
koī chiñgārī na ho is Dher meñ
soch kar in ḳhushk pattoñ par chalo
hādse bāhar khaḌe haiñ ghaat meñ
phir palaT kar ḳhol ke andar chalo
toḌ kar is ḳhāk-dāñ kī sarhadeñ
bādaloñ kī ThanDī saḌkoñ par chalo
fan kī ḳhidmat roTiyāñ detī nahīñ
fan kī ḳhidmat chhoḌ kar daftar chalo
maiñ bhī huuñ patthar banā do aadmī
mujh ko bhī chhūte hue 'raghubar' chalo
zindagī be-dāġh bhī achchhī nahīñ
tohmateñ kuchh zindagī par dhar chalo
ho gayā ruḳhsat gale mil kar koī
tum bhī rakh kar dil par ab patthar chalo
shahr kī miTTī pukāre hai 'shabāb'
ho chukā ban-bās puurā ghar chalo
Top Urdushayar.com