Shabab Lalit

an-ginat shadab jismon ki jawani pi gaya

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
an-ginat shādāb jismoñ kī javānī pī gayā
vo samundar kitne dariyāoñ kā paanī pī gayā
narm sub.heñ pī gayā shāmeñ suhānī pī gayā
hijr kā mausam diloñ kī shādmānī pī gayā
mere armānoñ kī fasleñ is liye pyāsī rahīñ
ek zālim thā jo kul bastī kā paanī pī gayā
le ga.e tum chhīn kar alfāz kā amrit-kalas
maiñ vo shivshañkar thā jo zahr-e-ma.ānī pī gayā
ik tavajjoh kī nazar shikve gile sab khā ga.ī
ik tabassum umr bhar kī bad-gumānī pī gayā
agle vaqtoñ kī muravvat rah ga.ī ban kar sarāb
vaqt kā sahrā sabhī qadreñ purānī pī gayā
zahr Daalā thā ki amrit tū ne mere jaam meñ
kuchh bhī ho maiñ ne tirī talqīn-e-ma.anī pī gayā
jā ke vo barsā na-jāne kis samundar par 'shabāb'
aah jo bādal mirī jhīloñ kā paanī pī gayā
Top Urdushayar.com