Shabab Lalit

aa gaya hai waqt ab bhugtoge KHamiyaze bahut

Shabab Lalit

Punjab, Pakistan

1933
aa gayā hai vaqt ab bhugtoge ḳhamiyāze bahut
ham faqīroñ par kase tum ne bhī āvāze bahut
tum ne jo qisse kiye mansūb merī zaat se
thī haqīqat un meñ thoḌī aur andāze bahut
jin ko apnī kāmyābī kā baḌā pindār thā
ham ne dekhe haiñ bikharte un ke shīrāze bahut
ghuT na jaa.e dam kahīñ nafrat ke is māhaul meñ
kar liye ham ne muqaffal dil ke darvāze bahut
shahr ke mele meñ yuuñ to gul-ruḳhoñ kī bhiiḌ thī
in meñ chehre the magar kam aur the ġhāze bahut
bas vahī hogā razā ko terī jo manzūr hai
kaam ā.eñge na computer ke andāze bahut
ham ne Thukrā.e na-jāne kitne āñkhoñ ke payām
mah-vashoñ ne ham pe khole dil ke darvāze bahut
rafta rafta vaqt ke marham se bhar hī jā.eñge
ishq ne jo zaḳhm baḳhshe haiñ abhī taaze bahut
ham sharīf insāñ 'shabāb' is ghar meñ nā-mahfūz haiñ
is meñ darvāze to kam haiñ chor darvāze bahut
Top Urdushayar.com