aarzū ek nadī ho jaise
zindagī tishna-labī ho jaise
ye javānī tirī chāhat ke baġhair
mahz ik jām-e-tahī ho jaise
kal hī bichhḌe the magar lagtā hai
ik sadī biit ga.ī ho jaise
umr-bhar qarz chukāyā is kā
ziist banñe kī bahī ho jaise
fasl chāñdī kī ugānā sar par
vaqt kī jādūgarī ho jaise
zulm sah kar bhī hai ḳhilqat ḳhāmosh
mohr hoñToñ pe lagī ho jaise
har taraf maut kā sannāTā hai
shahr par saaḌH satī ho jaise
yuuñ hai ik moḌ par hairāñ sī hayāt
rāstā bhuul ga.ī ho jaise
paḌh ke tārīḳh ko yuuñ lagtā hai
ye mazālim kī sadā ho jaise
raakh kā Dher hai ab hasrat-e-dil
ik dulhan jal ke marī ho jaise
sher kahtā huuñ salīqe se 'shabāb'
ye bhī ā.īna-garī ho jaise