Saleem Sarfaraz

tu ne gham KHwah-maKHwah us ka uThaya hua hai

Saleem Sarfaraz

Asansol, West Bengal, India

tū ne ġham ḳhvāh-maḳhvāh us kā uThāyā huā hai
dil ye nādāñ to kisī aur pe aayā huā hai
is zamāne ko dikhāne ke liye chehre par
ham ne ik chehra-e-shādāb chaḌhāyā huā hai
rāt-bhar chāñd-sitāroñ se sajāte haiñ use
ham ne jis ghar ko tasavvur meñ basāyā huā hai
ek chehra jise ham ne bhī nahīñ dekhā kabhī
apnī āñkhoñ meñ zamāne se chhupāyā huā hai
sahal lagtā hai tujhe kyā safar-e-sher-o-suḳhan
umr-bhar dhuup meñ jhulse haiñ to saaya huā hai
vird karte the kabhī jis kā shab-o-roz 'salīm'
jaane kyā naam thā ab dil ne bhulāyā huā hai
Top Urdushayar.com