hamīñ haiñ dar-haqīqat apne qaarī
hamīñ tak baat pahuñchegī hamārī
kahīñ par sar chhupānā hī paḌegā
agar hotī rahegī sañg-bārī
kabhī fursat mile ham ko to socheñ
koī manzar hai kitnā etibārī
sabhī ko dhuup meñ tapnā paḌegā
jahāñ sūraj kī pahuñchī hai savārī
muqaddar ho chukī ḳhirda-faroshī
yūñhī ginte raho bas rezgārī
mujhe har aan khaa.e jā rahā hai
mire ehsās kā kuttā shikārī
har ik dīvār girtī dekhtā huuñ
bahut mahñgī paḌī hai hoshiyārī