sahrā meñ har taraf hai vahī shor-e-al-atash
dariyā kā ruḳh badal na sake log āḳhirash
paa.e ga.e haiñ ek ḳhat-e-mustaqīm par
yaksāñ haiñ ab hamārī nazar meñ jahāt-e-shash
ruḳh se haqīqatoñ ke hijābāt uTh ga.e
ab e'tibār-e-dīd pe khā.egā kaun ġhash
vo iḳhtiyār-e-dīd kī sūrat nahīñ rahī
dil se nikal chukā hai har ik tīr-e-nīm-kash
ai āftāb-e-sub.h farāġhat idhar kahāñ
ham log pī rahe haiñ abhī zahr-e-kashmakash
'hāmid' harīm-e-zāt meñ ḳhud apnī dekhiye
āḳhir chhupā huā hai yahāñ kaun barq-vash