chale haiñ saath ham anjān ho kar
rahe apne hī ghar mehmān ho kar
milī thī rāste meñ zindagī bhī
mujhe taktī rahī hairān ho kar
mujhe samjhā nahīñ shāyad kisī ne
bahut mushkil meñ huuñ āsān ho kar
jahāñ hai vo vahāñ par ham nahīñ haiñ
paḌe haiñ ghar meñ ham sāmān ho kar
koī dhaḌkā nahīñ luTne kā mujh ko
maiñ ḳhush huuñ be-sar-o-sāmān ho kar
mohabbat jañg thī mahñgī paḌī hai
huī taqsīm maiñ tāvān ho kar
bahut mānūs thī maiñ jugnuoñ se
unheñ taktī huuñ ab hairān ho kar
mirī pahchān mujh se chhin ga.ī hai
judā hai vo mirī pahchān ho kar
maiñ sāñsoñ ke bharose pe khaḌī thī
mujhe jiinā thā us kī jaan ho kar
'farah' maiñ apnī puurī dāstāñ thī
magar ab rah ga.ī unvān ho kar