chāhe jitnā saath nibhā lo phir bhī bichhaḌnā paḌtā hai
zahr-e-judā.ī ro kar yā phir hañs kar piinā paḌtā hai
dushman par ye jaan nichhāvar karnī bhī paḌ saktī hai
ba.az auqāt to apnī jaañ kā dushman honā paḌtā hai
jaane vaale kab rukte haiñ ruk bhī jaa.eñ to kab tak
jo jo duniyā meñ aatā hai us ko jaanā paḌtā hai
do-dhārī talvār hai duniyā tez haiñ us ke donoñ ruḳh
ashk chhupā kar ronā mushkil lekin ronā paḌtā hai
kitne rog mohabbat vaale logoñ ko khā jaate haiñ
dukh jīvan kā sāthī hai jo sab ko sahnā paḌtā hai
ek mohabbat kā jazba jo lafzoñ kā muhtāj nahīñ
lekin phir bhī kabhī kabhī ye lafz bhī kahnā paḌtā hai