Farah Shahid

nahin hai KHush iztirab mein hai

Farah Shahid

Bahawal Nagar, Punjab, Pakistan

nahīñ hai ḳhush iztirāb meñ hai
mirā ye dil bhī sarāb meñ hai
maiñ kaisī rāhoñ meñ kho ga.ī huuñ
sabhī qusūr intiḳhāb meñ hai
dukhoñ-bharī raat kaT ga.ī hai
sitāra saharī sahāb meñ hai
vo yuuñ to lagtā hai sab ke jaisā
magar judā kuchh janāb meñ hai
maiñ chāhe is meñ nahīñ huuñ shāmil
magar vo dil ke nisāb meñ hai
maiñ us kī añkhoñ meñ aise Duubī
ki Duubā koī chanāb meñ hai
ye mujh ko mahsūs ho rahā hai
'farah' phir koī itaab meñ hai
Top Urdushayar.com