jin laġhzishoñ ke dahr meñ jhanDe buland haiñ
aivān-e-zindagī ke vahī naqsh-band haiñ
be-sā.egī ne ham ko banāyā hai tez-gām
ham log sūkhe peḌoñ ke ehsānmand haiñ
lafzoñ ke qaht hī kī navāzish kaheñ use
tābūt-e-zehn meñ jo ḳhayālāt band haiñ
tū apnā maal pahle harīsoñ meñ baañT de
kyā hai hamārā ham to qanā.at-pasand haiñ
is qaid hī meñ vus.at-e-donoñ-jahāñ milī
ye soch kar hī aaj bhī ham ḳhud meñ band haiñ