ġham to thā phir bhī be-shumār na thā
neza siine ke ār-pār na thā
mere girne pe kyuuñ hai isti.ajāb
maiñ to vaise bhī shahsavār na thā
vo jo phirtā thā le ke sher kī khaal
us kā maarā huā shikār na thā
kaise rishte haiñ us kī maut ke ba.ad
ḳhuun ḳhud us kā sogvār na thā
ham bhī sairāb ho chuke hote
matl-e-baḳht abr-bār na thā
saḳht-jānī rahī bahāna hai
terā ḳhanjar hī āb-dār na thā
maiñ ladā thā chalā vo chal na sakā
us pe hālāñki koī haar na thā