ik kār-e-garāñ hai khel nahīñ
zindagī imtihāñ hai khel nahīñ
har qadam soch kar yahāñ rakhnā
dasht-e-umr-e-ravāñ hai khel nahīñ
ye miTī hai na miT sakegī kabhī
urdū-e-saḳht-jāñ hai khel nahīñ
tīrgī shab kī kyuuñ na dam toḌe
zaḳhm-e-dil zau-fishāñ hai khel nahīñ
kuchh bhī mumkin hai dekhiye kyā ho
lutf-e-chāra-garāñ hai khel nahīñ
jaane laavā sulag uThe kis vaqt
dil ki ātish-fishāñ hai khel nahīñ
kaun samjhegā un kī baat 'shafīq'
ā.inoñ kī zabāñ hai khel nahīñ