dil TuuT chukā tār-e-nazar TuuT rahā hai
qistoñ meñ musāfir kā safar TuuT rahā hai
har roz badaltā hai nayā rañg zamāna
har shaḳhs ba-andāz-e-digar TuuT rahā hai
tū ġhaur se dekhe to ye ma.alūm ho tujh ko
jo kuchh hai tire pesh-e-nazar TuuT rahā hai
kyā jāniye kyuuñ log tashaddud pe utar aa.e
dastār bachāte haiñ to sar TuuT rahā hai
manzil hai ki ojhal hai nigāhoñ se abhī tak
rasta hai ki tā-hadd-e-nazar TuuT rahā hai
jo vaar bhī kartā hai vo kaarī nahīñ hotā
qātil kā mire zo.am-e-hunar TuuT rahā hai
kuchh aise 'shafīq' ab ke hue vaqt se pāmāl
parvāz kā zāmin thā jo par TuuT rahā hai