Baqar Mehdi

dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
dard-e-dil aaj bhī hai josh-e-vafā aaj bhī hai
zaḳhm khāne kā mohabbat meñ mazā aaj bhī hai
garmi-e-ishq nigāhoñ meñ nahīñ hai na sahī
muskurātī huī āñkhoñ meñ hayā aaj bhī hai
husn pāband-e-qafas ishq asīr-e-ālām
zindagī jurm-e-mohabbat kī sazā aaj bhī hai
hasrateñ ziist kā sarmāya banī jaatī haiñ
sīna-e-ishq pe vo mashq-e-jafā aaj bhī hai
dāman-e-sabr ke har taar se uThtā hai dhuāñ
aur har zaḳhm pe hañgāma uThā aaj bhī hai
apne ālām-o-masā.ib kā vahī darmāñ hai
dard kā had se guzarnā hī davā aaj bhī hai
'mīr' o 'ġhālib' ke zamāne se na.e daur talak
shā.er-e-hind giraftār-e-balā aaj bhī hai
Top Urdushayar.com