dīvāngī-e-shauq kā sāmāñ sajā ke lā
nādāñ guhar koī sar-e-mizhgāñ sajā ke lā
fankār tū agar hai to fan kā dikhā kamāl
tasvīr-e-yār tā-had-e-imkāñ sajā ke lā
gulshan pe hai ḳhizāñ kā tasallut to ġham nahīñ
dil meñ fareb-e-husn-e-bahārāñ sajā ke lā
de māhtāb ban ke añdheroñ ko raushnī
murda diloñ ke vāste darmāñ sajā ke lā
ham aaj terī qaid se āzād ho ga.e
ai zindagī ab aur hī zindāñ sajā ke lā
phir zaḳhm mundamil hue jaate haiñ ai nadīm
tū merā mehrbāñ hai namak-dāñ sajā ke lā
aalam kā jo 'shafīq' hai rahmat hai sar-basar
us kā ḳhayāl nazd-e-rag-e-jāñ sajā ke lā