Shafiq Dehlvi

jaise subh ko suraj nikle sham Dhale chhup jae hai

Shafiq Dehlvi

jaise sub.h ko sūraj nikle shaam Dhale chhup jaa.e hai
tum bhī musāfir maiñ bhī musāfir duniyā ek sarā.e hai
rāz-e-ḳhudī hai ye farzāno behtar hai ye raaz na jaano
jo ḳhud ko pahchāne hai vo dīvāna kahlā.e hai
fahm-o-ḳhirad se josh-e-junūñ tak har manzil se guzre haiñ
ham to dīvāne haiñ bhaa.ī ham ko kyā samjhā.e hai
hijr kī shab yuuñ thapak thapak kar mujh ko sulā.e terī yaad
jaise maañ kī lorī sun kar ik bachcha so jaa.e hai
jab se tum ne āñkheñ pherīñ sab ne hī muñh pher liyā
haa.e shab-e-hijrāñ kyā kahiye shabnam aag lagā.e hai
koī mujh se mujhe milā de mujh ko hai apnī hī talāsh
bastī bastī ye dīvāna kaisā shor machā.e hai
jis ne sab ke ġham bāñTe haiñ ham vo dīvāne haiñ 'shafīq'
ye vo daur hai jis meñ har ik apnī aag bujhā.e hai
Top Urdushayar.com