Bharat Bhushan Pant

maine socha tha mujhe mismar kar sakta nahin

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019

maiñ ne sochā thā mujhe mismār kar saktā nahīñ

aks to mujh par palaT kar vaar kar saktā nahīñ

aa.ina zāhir to kar saktā hai ḳhadd-o-ḳhāl ko

aa.ina ehsās iz.hār kar saktā nahīñ

merī chāhat aur hai mere masā.il aur haiñ

ḳhud ko maiñ har baat par tayār kar saktā nahīñ

ḳhud se samjhautā kiyā hai zindagī ke naam par

is se baḌh kar zindagī ko pyaar kar saktā nahīñ

to apne jism had se nikalnā chhoḌ de

saaya hai to dhuup se inkār kar saktā nahīñ

kashtiyāñ bhī chāhiye aur nāḳhudā bhī chāhiye

samundar tair kar to paar kar saktā nahīñ

is se behtar hai ki ye azm-e-safar chhoḌ de

rāste ko agar hamvār kar saktā nahīñ

Top Urdushayar.com