justujū merī kahīñ thī aur maiñ bhaTkā kahīñ
mil ga.ī manzil mujhe to kho gayā rastā kahīñ
pūchhtā rahtā huuñ ḳhud se kyā use dekhā kahīñ
aa.ine ke zāviyoñ meñ kho gayā chehra kahīñ
mujh ko mat roko ki maiñ itnā thakan se chuur huuñ
phir Thahar hī jā.ūñgā maiñ ab agar Thahrā kahīñ
muddatoñ ke ba.ad phir nam ho ga.iiñ āñkheñ mirī
phir mire ehsās ke patthar meñ dil dhaḌkā kahīñ
TuuT kar chāhā tujhe lekin ye hasrat rah ga.ī
tujh se dil kī baat kahte tū agar miltā kahīñ
maiñ kisī sūrat nikal aayā huuñ apnī zaat se
Dar rahā huuñ mil na jaa.e phir vahī duniyā kahīñ
ek hī raftār se kashtī ko mat khenā yahāñ
vaqt kā dariyā kahīñ uthlā hai to gahrā kahīñ
kyuuñ dilāsā de rahe ho muntashir karne ke ba.ad
TuuT kar phir shāḳh se juḌtā hai ik pattā kahīñ