Bharat Bhushan Pant

phir wo be-samt uDanon ki kahani sun kar

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
phir vo be-samt uḌānoñ kī kahānī sun kar
so gayā peḌ parindoñ kī kahānī sun kar
kyā yahī ḳhvāb kī ta.abīr huā kartī hai
uḌ ga.ī niiñd bhī āñkhoñ kī kahānī sun kar
aable aise kabhī phuuT kar nā ro.e the
jis tarah ro.e haiñ kāñToñ kī kahānī sun kar
ham vo sahrā ke musāfir haiñ abhī tak jin kī
pyaas bujhtī hai sarāboñ kī kahānī sun kar
dard kī had se guzar kar to yahī honā thā
aañkh pathrā ga.ī ashkoñ kī kahānī sun kar
kashtiyāñ lauT to aa.ī haiñ magar ik sāhil
soch meñ Duubā hai maujoñ kī kahānī sun kar
tum ne to sirf bahāroñ meñ unheñ dekhā hai
tum bikhar jāoge phūloñ kī kahānī sun kar
saare kirdār siyāne the magar jhūTe the
log hairān the bachchoñ kī kahānī sun kar
kitnā āsān thā bachpan meñ sulānā ham ko
niiñd aa jaatī thī pariyoñ kī kahānī sun kar
un ko ma.alūm thā chehroñ kī haqīqat kyā hai
chup rahe aa.ine chehroñ kī kahānī sun kar
Top Urdushayar.com