Bharat Bhushan Pant

KHwab jine nahin denge tujhe KHwabon se nikal

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
ḳhvāb jiine nahīñ deñge tujhe ḳhvāboñ se nikal
vaqt barbād na kar rā.egāñ sochoñ se nikal
dasht-e-imkān meñ dariyā bhī hai bādal bhī haiñ
shart bas itnī hai tū apne sarāboñ se nikal
ek be-rañg sī tasvīr banā le ḳhud ko
rañg yaksāñ nahīñ rahte kabhī rañgoñ se nikal
varna tū apne hī andar kahīñ bujh jā.egā
khul ke ab sāmne aa apne añdheroñ se nikal
shab ne sūraj se kahā ye to nahīñ terā maqām
chal bulandī kī tarah lauT nasheboñ se nikal
tire hone kā tujhe bhī to ho ehsās koī
ek koñpal kī tarah apnī hī shāḳhoñ se nikal
ab vo girdāb kī kashtī kī kahānī na sunā
tujh ko sāhil pe pahuñchnā hai to maujoñ se nikal
ik na ik roz samundar kā safar karnā hai
apne ehsās ke mahdūd jazīroñ se nikal
Top Urdushayar.com