Bharat Bhushan Pant

dasht mein uDte bagulon ki ye masti ek din

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
dasht meñ uḌte bagūloñ kī ye mastī ek din
ek din hai sar-bulandī aur pastī ek din
ek din tū bhī isī bāzār meñ bik jā.egā
aur koī shai na hogī tujh se sastī ek din
naqsh jitne haiñ bahā le jā.eñge ashk-e-ravāñ
aur rah jā.eñgī ye āñkheñ tarastī ek din
rafta rafta ye dhundalke aur baḌhte jā.eñge
yak-ba-yak vīrān ho jā.egī bastī ek din
ek din jal jā.ūñgā maiñ bhī chitā kī aag meñ
ḳhaak meñ mil jā.egī terī bhī hastī ek din
do dinoñ kī zindagānī kufr kyā islām kyā
ek din ka.abe meñ sajda but-parastī ek din
gar yuuñ hī ġhālib rahā ham par suḳhan kā qarz ye
''rañg lā.egī hamārī fāqa-mastī ek din''
Top Urdushayar.com