Bharat Bhushan Pant

ishq ka rog to wirse mein mila tha mujhko

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
ishq kā rog to virse meñ milā thā mujh ko
dil dhaḌaktā huā siine meñ milā thā mujh ko
haañ ye kāfir usī hujre meñ milā thā mujh ko
ek momin jahāñ sajde meñ milā thā mujh ko
us ko bhī merī tarah apnī vafā par thā yaqīñ
vo bhī shāyad isī dhoke meñ milā thā mujh ko
us ne hī bazm ke ādāb sikhā.e the mujhe
vo jo ik shaḳhs akele meñ milā thā mujh ko
manzil-e-hosh pe ik maiñ hī nahīñ thā tanhā
yaañ to har shaḳhs hī nashshe meñ milā thā mujh ko
ye bhī ik aib thā merī hī nazar kā shāyad
roz kuchh farq sā chehre meñ milā thā mujh ko
aise hālāt meñ kyā us se gilā kartā maiñ
raat sūraj bhī añdhere meñ milā thā mujh ko
maiñ agar Duub na jaatā to vahāñ kyā kartā
ik samundar thā jo qatre meñ milā thā mujh ko
ruuh kī pyaas bujhānā koī āsān na thā
saaf paanī baḌe gahre meñ milā thā mujh ko
sach to ye hai ki yahāñ koī bhī manzil hī na thī
vo bhī rasta thā jo raste meñ milā thā mujh ko
Top Urdushayar.com