Bharat Bhushan Pant

meri hi baat sunti hai mujhi se baat karti hai

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
mirī hī baat suntī hai mujhī se baat kartī hai
kahāñ tanhā.ī ghar kī ab kisī se baat kartī hai
hamesha us kī bātoñ meñ añdheroñ kā vahī ronā
ye shab jab bhī diye kī raushnī se baat kartī hai
maiñ jab māyūs ho kar rāste meñ baiTh jaatā huuñ
to har manzil mirī āvārgī se baat kartī hai
sukūt-e-shab meñ jab saare musāfir so.e hote haiñ
unhīñ lamhāt meñ kashtī nadī se baat kartī hai
kabhī chup chaap tārīkī kī chādar oḌh letī hai
kabhī vo jhiil shab bhar chāñdnī se baat kartī hai
dayār-e-zāt meñ us vaqt jab maiñ bhī nahīñ hotā
koī āvāz merī ḳhāmushī se baat kartī hai
hamesha us ke chehre par ajab sā ḳhauf rahtā hai
kabhī jab maut merī zindagī se baat kartī hai
Top Urdushayar.com