ā.īne se pardā kar ke dekhā jaa.e
ḳhud ko itnā tanhā kar ke dekhā jaa.e
ham bhī to dekheñ ham kitne sachche haiñ
ḳhud se bhī ik va.ada kar ke dekhā jaa.e
dīvāroñ ko chhoTā karnā mushkil hai
apne qad ko ūñchā kar ke dekhā jaa.e
rātoñ meñ ik sūraj bhī dikh jā.egā
har manzar ko ulTā kar ke dekhā jaa.e
dariyā ne bhī tarsāyā hai pyāsoñ ko
dariyā ko bhī pyāsā kar ke dekhā jaa.e
ab āñkhoñ se aur na dekhā jā.egā
ab āñkhoñ ko andhā kar ke dekhā jaa.e
ye sapne to bilkul sachche lagte haiñ
in sapnoñ ko sachchā kar ke dekhā jaa.e
ghar se nikal kar jaatā huuñ maiñ roz kahāñ
ik din apnā pīchhā kar ke dekhā jaa.e