samundaroñ ko bhī dariyā samajh rahe haiñ ham
ye apne-āp ko ab kyā samajh rahe haiñ ham
hamārī raah meñ haa.el jo ik añdherā hai
use bhī apnā hī saaya samajh rahe haiñ ham
yahīñ talak hai rasā.ī hamārī āñkhoñ kī
ki ḳhadd-o-ḳhāl ko chehra samajh rahe haiñ ham
hamārī baat kisī kī samajh meñ kyuuñ aatī
ḳhud apnī baat ko kitnā samajh rahe haiñ ham
ab apne dard ko sahnā bahut hī mushkil hai
zarā hai zaḳhm ko gahrā samajh rahe haiñ ham
abhī fuzūl hai manzil kī baat bhī karnā
abhī to logoñ se rastā samajh rahe haiñ ham
bas ek raat Thaharne kā ye natīja hai
sarā-e-fānī ko duniyā samajh rahe haiñ ham