Bharat Bhushan Pant

did ki tamanna mein aankh bhar ke roe the

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
diid kī tamannā meñ aañkh bhar ke ro.e the
ham bhī ek chehre ko yaad kar ke ro.e the
sāmne to logoñ ke ġham chhupā liye apne
aur jab hue tanhā ham bikhar ke ro.e the
ham se in añdheroñ ko kis liye shikāyat hai
ham to ḳhud charāġhoñ kī lau katar ke ro.e the
jab talak the kashtī par ḳhud ko rok rakkhā thā
sāhiloñ pe aate hī ham utar ke ro.e the
aa.ine meñ rotā vo aks bhī hamārā thā
jis ko dekh kar akasr ham biphar ke ro.e the
yaad hai abhī tak vo ek shaam bachpan kī
jaane kyā huā thā sab log ghar ke ro.e the
sāhiloñ pe aatī hai aaj bhī sadā un kī
Dūbne se kuchh pahle jo ubhar ke ro.e the
har taraf thī ḳhāmoshī aur aisī ḳhāmoshī
raat apne saa.e se ham bhī Dar ke ro.e the
tab patā chalā ham ko zaḳhm kitne gahre haiñ
dard ke nasheboñ meñ jab utar ke ro.e the
ham ne apnī āñkhoñ se hādsa vo dekhā thā
pattharoñ kī bastī meñ zaḳhm sar ke ro.e the
Top Urdushayar.com