Bharat Bhushan Pant

chahaton ke KHwab ki tabir thi bilkul alag

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
chāhatoñ ke ḳhvāb kī ta.abīr thī bilkul alag
aur jiinā paḌ rahī hai zindagī bilkul alag
vo alag ehsās thā jab kashtiyāñ maujoñ meñ thiiñ
lag rahī hai ab kināre se nadī bilkul alag
aur kuchh mahrūmiyāñ bhī zindagī ke saath haiñ
har kamī se hai magar terī kamī bilkul alag
ek an-jānī sadā ne kyā pata kyā kah diyā
ruuTh kar baiThī hai sab se ḳhāmushī bilkul alag
lafz kī duniyā alag shahr-e-ma.ānī aur hai
maiñ alag huuñ mujh se merī shā.erī bilkul alag
aa.ine meñ muskurātā merā hī chehra magar
ā.īne se jhāñktī be-chehragī bilkul alag
sochtā huuñ rañg kitne haiñ mire kirdār meñ
maiñ kabhī apnī tarah huuñ aur kabhī bilkul alag
sab añdheroñ se judā dil kā añdherā jis tarah
har ujāle se hai ghar kī raushnī bilkul alag
zindagī kī lai bikharne kā sabab shāyad yahī
saaz kī dhun se hai merī naġhmagī bilkul alag
mujh ko in sairābiyoñ ne ek sahrā kar diyā
aaj bhī lekin hai merī tishnagī bilkul alag
Top Urdushayar.com