kabhī sukūñ kabhī sabr-o-qarār TūTegā
agar ye dil hai to phir baar baar TūTegā
vo apne zarf se baḌh kar bharā huā bādal
ye dekhnā kahīñ be-iḳhtiyār TūTegā
vo ek pal bhī kisī roz aa hī jā.egā
ki jab ye zindagī par e'tibār TūTegā
vagarna chaltā rahegā ye silsila yuuñ hī
maiñ TuuT jā.ūñ tabhī intishār TūTegā
phir ek baar ġhalat niklā ye qayās mirā
girā chaTān pe to ābshār TūTegā
tire zavāl kī manzil abhī nahīñ aa.ī
nasha to TuuT chukā ab ḳhumār TūTegā
isī ḳhayāl se shāyad Darā huā hai saaz
agar ye raag na TuuTā to taar TūTegā
koī udaas sā naġhma hī gungunā.eñ ham
tabhī tilsim-e-shab-e-intizār TūTegā