har ek raat meñ apnā hisāb kar ke mujhe
sahar ko chhoḌ diyā āftāb kar ke mujhe
mire junūn ko pahuñchā diyā hai manzil tak
safar ke shauq ne ḳhāna-ḳharāb kar ke mujhe
zarā sī der meñ vo bulbule bhī phuuT ga.e
jinheñ vajūd milā ġharq-e-āb kar ke mujhe
usī ko din ke ujāle meñ ā.ūñgā maiñ nazar
tamām raat jo dekhegā ḳhvāb kar ke mujhe
jagah jagah pe muḌe haiñ ka.ī varaq mere
kisī ne roz paḌhā thā kitāb kar ke mujhe
banā rahā hai agar tū mujhe to dhyān rahe
tujhe banānā paḌegā ḳharāb kar ke mujhe
maiñ ik nasha huuñ use paḌ ga.ī hai lat merī
hayāt piine lagī hai sharāb kar ke mujhe
mirī shanāḳht hai ahl-e-suḳhan meñ bas itnī
kiyā gayā hai alag intiḳhāb kar ke mujhe