Bharat Bhushan Pant

kahin jaise main koi chiz rakh kar bhul jata hun

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
kahīñ jaise maiñ koī chiiz rakh kar bhuul jaatā huuñ
pahan letā huuñ jab dastār to sar bhuul jaatā huuñ
vagarna to mujhe sab yaad rahtā hai sivā is ke
kahāñ huuñ kaun huuñ kyuuñ huuñ maiñ akasr bhuul jaatā huuñ
mire is haal se gumrāh ho jaate haiñ rahbar bhī
maiñ akasr rāste meñ apnā hī ghar bhuul jaatā huuñ
dikhātā phir rahā huuñ sab ko apne zaḳhm-e-sar lekin
mire hāthoñ meñ bhī hai ek patthar bhuul jaatā huuñ
nikal jaatā huuñ ḳhud apne hisār-e-zāt se bāhar
maiñ akasr paañv phailāne meñ chādar bhuul jaatā huuñ
kabhī jab sochne lagtā huuñ pas-e-manzar ke baare meñ
to mere sāmne ho koī manzar bhuul jaatā huuñ
kabhī to itnā baḌh jaatī hai merī pyaas kī shiddat
mire chāroñ taraf hai ik samundar bhuul jaatā huuñ
Top Urdushayar.com