añdherā miTtā nahīñ hai miTānā paḌtā hai
bujhe charāġh ko phir se jalānā paḌtā hai
ye aur baat hai ghabrā rahā hai dil varna
ġhamoñ kā bojh to sab ko uThānā paḌtā hai
kabhī kabhī to in ashkoñ kī aabrū ke liye
na chāhte hue bhī muskurānā paḌtā hai
ab apnī baat ko kahnā bahut hī mushkil hai
har ek baat ko kitnā ghumānā paḌtā hai
vagarna guftugū kartī nahīñ ye ḳhāmoshī
har ik sadā ko hameñ chup karānā paḌtā hai
ab apne paas to ham ḳhud ko bhī nahīñ milte
hameñ bhī ḳhud se bahut duur jaanā paḌtā hai
ik aisā vaqt bhī aatā hai zindagī meñ kabhī
jab apne saa.e se pīchhā chhuḌānā paḌtā hai
bas ek jhuuT kabhī aa.ine se bolā thā
ab apne aap se chehra chhupānā paḌtā hai
hamāre haal pe ab chhoḌ de hameñ duniyā
ye baar baar hameñ kyuuñ batānā paḌtā hai