Bharat Bhushan Pant

sawab hai ya kisi janam ka hisab koi chuka raha hun

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
savāb hai yā kisī janam kā hisāb koī chukā rahā huuñ
jo ghar ke āñgan meñ chīñTiyoñ ko maiñ roz aaTā khilā rahā huuñ
maiñ raqs kartā huā bagūlā jo dasht-e-jāñ meñ bhaTkā chukā hai
ab apnī sāñsoñ kī āñdhiyoñ se bas apnī miTTī uḌā rahā huuñ
vo manzileñ kyā ye rāste bhī mujhī ko le kar bhaTak ga.e haiñ
na chal rahā huuñ na ruk rahā huuñ na jā rahā huuñ na aa rahā huuñ
qarīb aatī har ek shai ne mirā nazriya badal diyā hai
maiñ jis ke pīchhe paḌā huā thā usī se pīchhā chhuḌā rahā huuñ
vo rabt-e-bāham nahīñ hai lekin abhī bhī rishta banā huā hai
vo mujh se duurī baḌhā rahā hai maiñ us se qurbat ghaTā rahā huuñ
mire hī apne muhīb saa.e mujhī ko ghere khaḌe hue haiñ
kisī ko āñkheñ dikhā rahā huuñ kisī se āñkheñ churā rahā huuñ
maiñ aa.ina huuñ to kaun hai ye aa.ina hai to kaun huuñ maiñ
inhīñ savāloñ se tañg aa kar maiñ sab shabīheñ haTā rahā huuñ
mujhe yaqīñ hai ise jalā kar maiñ apne sab Dar miTā sakūñgā
so ek kapḌe meñ ruuī bhar kar maiñ apnā putlā banā rahā huuñ
Top Urdushayar.com