laakh Takrāte phireñ ham sar dar-o-dīvār se
jī ki bhartā hī nahīñ hai lazzat-e-āzār se
kuchh to ghar vāloñ ne ham ko kar diyā ma.azūr sā
aur kuchh ham fitratan uktā ga.e ghar-bār se
yak-ba-yak aisī bhī sab par kyā qayāmat aa ga.ī
shahr ke sab log kyuuñ lagne lage bīmār se
tere sapnoñ kī vo duniyā kyā huī us ko bhī dekh
ho chukī haiñ nam bahut āñkheñ uThā aḳhbār se
muntazir thā Dūbne vaale kā koī to zarūr
ik sadā aa.ī thī us ke naam dariyā paar se
sab se achchhā to yahī ''ġhālib'' tirā jām-e-sifāl
TuuT bhī jaa.e to phir le aa.iye bāzār se