maiñ kyā batā.ūñ kaisī pareshāniyoñ meñ huuñ
kāġhaz kī ek naav huuñ aur pāniyoñ meñ huuñ
chehre ke ḳhadd-o-ḳhāl meñ mahdūd maiñ nahīñ
ik aa.ina huuñ apnī hī hairāniyoñ meñ huuñ
dushvāriyoñ ko Thiik se samjhā nahīñ abhī
mushkil mirī yahī hai ki āsāniyoñ meñ huuñ
maujoñ se duur rah ke bhī badlā nahīñ nasīb
sāhil ke ās-pās bhī tuġhyāniyoñ meñ huuñ
mujh tak hī lauT aatī hai merī sadā kī guuñj
ik bāzgasht sā kahīñ vīrāniyoñ meñ huuñ
oḌhā huā hai maiñ ne ye kaisā ajab libās
itnā Dhakā huā huuñ ki uryāniyoñ meñ huuñ
raḳht-e-safar meñ kījiye merā shumār bhī
shāmil maiñ apnī be-sar-o-sāmāniyoñ meñ huuñ