sisakte bām-o-dar rotā huā ghar chhoḌ aayā huuñ
maiñ ḳhud ko ek vīrāne meñ jā kar chhoḌ aayā huuñ
jahāñ ehsās kī āvāz bhī aatī nahīñ mujh tak
maiñ aisī be-hisī meñ ḳhud ko aksar chhoḌ aayā huuñ
akelā maiñ hī kyuuñ ab ye sukūt mauj bhī TuuTe
thiraktī jhiil kī āñkhoñ meñ kañkar chhoḌ aayā huuñ
bahut ujlat meñ apne zaḳhm maiñ ne sī liye lekin
kahīñ maiñ jism ke andar hī nashtar chhoḌ aayā huuñ
jo ik tasvīr thī dil meñ vo mujh se ban na paa.ī to
maiñ ek kāġhaz pe saare rañg bhar kar chhoḌ aayā huuñ