abhī tak jo nahīñ dekhe vo manzar dekh lete haiñ
chalo aapas meñ ham āñkheñ badal kar dekh lete haiñ
koī bhī ḳhvāb ho āñkhoñ se bach kar rah nahīñ saktā
jazīre chhup bhī jaa.eñ to samundar dekh lete haiñ
fazā ko chiir dete haiñ parinde apnī chīḳhoñ se
zamīñ par jab kahīñ bikhre hue par dekh lete haiñ
unheñ fankār ko pahchānñā bhī ḳhuub aatā hai
hunar hai kis ke hāthoñ meñ ye patthar dekh lete haiñ
hameñ ma.alūm hai ham ḳhairiyat se āfiyat se haiñ
magar ham ehtiyātan dosh par sar dekh lete haiñ