Bharat Bhushan Pant

kuchh na kuchh silsila hi ban jata

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
kuchh na kuchh silsila hī ban jaatā
ret par naqsh-e-pā hī ban jaatā
kis ne kāġhaz pe likh diyā mujh ko
is se behtar sadā hī ban jaatā
zindagī kī radīf mushkil thī
maiñ faqat qāfiya hī ban jaatā
ashk kuchh der ko hī tham jaate
kaam bigḌā huā hī ban jaatā
kashtiyāñ to ḳhudā chalātā hai
kaash maiñ nāḳhudā hī ban jaatā
kyā milā mujh ko nekiyoñ kā sila
achchhā hotā burā hī ban jaatā
manziloñ kī kise tamannā thī
bhiiḌ meñ rāstā hī ban jaatā
ab to bas ye havā kī koshish hai
ek bādal ghanā hī ban jaatā
maiñ bhī chehra agar haTā letā
aa.ina aa.inā hī ban jaatā
ham zarā aur sabr kar lete
dard shāyad davā hī ban jaatā
ham se dīvāne gar nahīñ hote
shahr ye hādsa hī ban jaatā
Top Urdushayar.com