Bharat Bhushan Pant

dayar-e-zat mein jab KHamushi mahsus hoti hai

Bharat Bhushan Pant

Dehradun, Uttarakhand, India

1958-2019
dayār-e-zāt meñ jab ḳhāmushī mahsūs hotī hai
to har āvāz jaise gūñjtī mahsūs hotī hai
maiñ thoḌī der bhī āñkhoñ ko apnī band kar luuñ to
añdheroñ meñ mujhe ik raushnī mahsūs hotī hai
sunā thā maiñ ne ye to pattharoñ kā shahr hai lekin
yahāñ to pattharoñ meñ zindagī mahsūs hotī hai
tasavvur meñ tirī tasvīr maiñ jab bhī banātā huuñ
mujhe har baar rañgoñ kī kamī mahsūs hotī hai
jise sochoñ ne Dhālā ho ḳhayāloñ ne tarāshā ho
vo chehra dekh kar kitnī ḳhushī mahsūs hotī hai
yahī bedāriyāñ haiñ jo mujhe sone nahīñ detīñ
inhīñ bedāriyoñ meñ niiñd bhī mahsūs hotī hai
ye ab maiñ āgahī kī kaun sī manzil pe aa pahuñchā
mujhe sairābiyoñ meñ tishnagī mahsūs hotī hai
Top Urdushayar.com